nadiya bano
nadiya bano aur beh niklo kal-kal,chal-chal ,beh niklo na socho raah ki uljhan aaweg bharo aur beh niklo
raah ki uljhan jaano na pathar pahaad jaano na tod saare bandhno ko aazaad bano aur beh niklo nadiya bano........
chattan ko kaato,raah banao roda pathar baha le jao purjosh bhare samweg liye saagar our badhte hi jao nadiya bano..........
raah kanteeli hai shayad paanv se lahoo bhi niklega rukna na thamna na raah na apni badalna tum sab saho aur aage badho nadiya bano...........
maanav jag ki trishna haro shubh sanskaar se sinchit karo lakshya saadhna liye hue aap apni raah gaddho nadiya bano..........
dukh santaap jagat ka har lo maanav seva ka prann kar lo sabki aastha ke deep liye nirmal bano aur badhe chalo nadiya bano........
kitna hi bhatkaaye koi sad raah na tyagna tum prem pyaar hi baanto,aur hansi smit ka sanchaar karo shant raho aur badh chalo nadiya bano.............
|